raat ke waqt koi git sunati hai hawa
shaKH-dar-shaKH bhala kis ko bulati hai hawa
sard raat apni nahin kaTti kabhi tere baghair
aise mausam mein to aur aag lagati hai hawa
ek manus si KHushbu se mahakti hai faza
jab tu aata hai bahut shor machati hai hawa
kin guzargahon ke hain gard-o-ghubar aankhon mein
roz patjhaD ke hamein KHwab dikhati hai hawa
zindagi jalta hua ek diya hai 'anjum'
dekhna ye hai kahan ja ke bujhati hai hawa
Ghazal
Raat ke waqt koi git sunati hai hawa
Shahzad Anjum Burhani