raat ke samundar mein gham ki naw chalti hai
din ke garm sahil par zinda lash jalti hai
ek khilauna hai giti toD toD ke jis ko
bachchon ki tarah duniya roti hai machalti hai
fikr o fan ki shahzadi kis bala ki hai nagin
shab mein KHun piti hai din mein zahr ugalti hai
zindagi ki haisiyyat bund jaise pani ki
nachti hai sholon par chashm-e-nam mein jalti hai
bhuke peT ki Dain soti hi nahin ek pal
din mein dhup khati hai shab mein pi ke chalti hai
pattiyon ki tali par jag uThe chaman wale
aur patti patti ab baiThi hath malti hai
ghup andheri rahon par mashal-e-husam-e-zar
hai lahu mein aisi tar bujhti hai na jalti hai
inqilab-e-dauran se kuchh to kahti hi hogi
tez rail-gaDi jab paTriyan badalti hai
tishnagi ki tafsiren misl-e-shama hain 'wamiq'
jo zaban khulti hai us se lau nikalti hai

Ghazal
Raat ke samundar mein gham ki naw chalti hai
Wamiq Jaunpuri