raat ke sans ki mahkar se sarshaar hawa
jagte shahr sula deti hai bedar hawa
ho ke sairab KHam-e-shab se sar-e-daman-e-gul
surat-e-abr baras jati hai mai-KHwar hawa
jaane kis tarah KHalaon mein dhanak banti hai
chand ki rang bhari jhil ke us par hawa
talib-e-mauj-e-sahar jati hai lahron pe sawar
sahil-e-shab se uThati hai jo patwar hawa
kitni yaaden hain ki jhonkon ki tarah tairti hain
chhoD aati hai safar mein jinhen manjdhaar hawa
sar khule KHak uDati hui aangan aangan
raat ke dard ka kar jati hai izhaar hawa
chand ke ras mein bujhe lamhon ki tanhai mein
zahr-e-hijran mein hai Dubi hui talwar hawa
kitne lamhe the ki ashkon ki tarah barse the
raat guzri thi jo gati hui malhaar hawa
zard shaKHon ki patawar mein uThati hui hashr
'keats' ki nazm ka jaise koi kirdar hawa
wo teri jhumti zulfon ka ghana jangal hai
bhul jati hai jahan shoKHi-e-raftar hawa
aasman par safar-e-mauj-e-sahar se pahle
roz uTha deti hai ek rang ki diwar hawa
Ghazal
Raat ke sans ki mahkar se sarshaar hawa
Rafiq Khawar Jaskani