raat ke rahne ka na Dar kijiye
ek to shab yan bhi sahar kijiye
log kahenge tumhein harjai hai
dil mein ek aalam ke na ghar kijiye
dekhte ho meri taraf kya miyan
apni bhi surat pe nazar kijiye
aa hi liya be-KHabari ne hamein
kaun hai yan kis ko KHabar kijiye
ghair ko ja dete ho ghar mein agar
mere tain shahr-badar kijiye
dekh nigahen teri kahti hai KHalq
aisi nigahon se hazar kijiye
phir nahin milna tera mushkil miyan
jaan ka gar apni zarar kijiye
manzil-e-hasti mein bahut hum rahe
'mushafi' ab yan se safar kijiye
Ghazal
Raat ke rahne ka na Dar kijiye
Mushafi Ghulam Hamdani