raat ke KHwab sunaen kis ko raat ke KHwab suhane the
dhundle dhundle chehre the par sab jaane-pahchane the
ziddi wahshi allhaD chanchal miThe log rasile log
honT un ke ghazlon ke misre aankhon mein afsane the
wahshat ka unwan hamari un mein se jo nar bani
dekhenge to log kahenge 'insha'-ji diwane the
ye laDki to in galiyon mein roz hi ghuma karti thi
is se un ko milna tha to is ke lakh bahane the
hum ko sari raat jagaya jalte bujhte taron ne
hum kyun un ke dar par utre kitne aur Thikane the
Ghazal
Raat ke KHwab sunaen kis ko raat ke KHwab suhane the
Ibn e Insha