raat ke dasht mein phaila hua sannaTa hun
apne sae se bichhaDne ki saza pata hun
main kabhi apne liye ghair nahin tha itna
aaina dekh ke kal raat bahut roya hun
tum se milne ki KHushi hai na bichhaDne ka malal
KHud-farebi ke ab is moD pe aa pahuncha hun
jab se ek KHwab ki tabir mili hai mujh ko
main har ek KHwab ki tabir se ghabraata hun
koi milta hi nahin aankh milane wala
main tere shahr mein suraj ki tarah tanha hun
zindagi ka koi maqsad hi nahin hai 'azar'
aur main hun ki zarurat ki tarah zinda hun
Ghazal
Raat ke dasht mein phaila hua sannaTa hun
Kafeel Aazar Amrohvi