اردو हिंदी
Raat ke dard ka mara nikla | Shaahi Shayari
raat ke dard ka mara nikla

Ghazal

Raat ke dard ka mara nikla

Manish Shukla

;

raat ke dard ka mara nikla
chand bhi para-para nikla

aap samundar ki kahte hain
dariya tak to khaara nikla

uba duniya ki har shai se
dil aaKHir banjara nikla

suraj ke aane tak chamka
baghi ek sitara nikla

aag na darbaron tak pahunchi
muKHbir ek sharara nikla

jo samjha tha KHud ko nazir
wo bhi ek nazara nikla

palTe dil ke safhe sare
sab par nam tumhaara nikla