raat ke baad wo subh kahan hai din ke baad wo sham kahan
jo aashufta-sari hai muqaddar us mein qaid-e-maqam kahan
bhigi raat hai suni ghaDiyan ab wo jalwa-e-am tamam
bandhan toD ke jaun lekin ai dil ai nakaam kahan
ab wo hasrat-e-ruswa ban kar juzw-e-hayat hai barson se
jis se wahshat karte the tum ab wo KHayal-e-KHam kahan
zist ki rah mein ab hum be-his tanha sar-ba-gireban hain
kuchh aalam ka sath hua tha wo bhi nafarjam kahan
karni karte rahen takte hum ne umr ganwai hai
KHubi-e-qismat DhunD ke haari hum aise nakaam kahan
apne haal ko jaan ke hum ne faqr ka daman thama hai
jin damon ye duniya milti utne hamare dam kahan
Ghazal
Raat ke baad wo subh kahan hai din ke baad wo sham kahan
Mukhtar Siddiqui