raat ke andheron ko raushni wo kya dega
ek diya jalaega sau diye bujha dega
muddaten hui mujh se ghar chhuDa diya mera
kya zamana ab tera sath bhi chhuDa dega
sab ke naqli chehre hain sab ka ek aalam hai
koi is zamane mein kis ko aaina dega
main abhi to mujrim hun aap apna qatil hun
kanp uThega munsif bhi jab mujhe saza dega
jo diya tassub ka tum jala ke aae ho
subh tak na jaane wo kitne ghar jala dega
jaanta hun main us ki sadgi-o-masumi
wo mera kabutar bhi hath se uDa dega
us ke pas moti hain mere pas aansu hain
main abhi se kya kah dun kaun kis ko kya dega
us se ab jo puchhunga us ka haal ai 'saghar'
koi sher mera hi wo mujhe suna dega
Ghazal
Raat ke andheron ko raushni wo kya dega
Saghar Azmi