raat karta tha wo ek murgh-e-giraftar se bahs
main bhi ta-subh rakhi bulbul-e-gulzar se bahs
nau-bahaaran mein wo ho jawe hai kyun surKH magar
dagh-e-dil ko hai mere lala-e-kuhsar se bahs
talib-ilm-e-mohabbat jo main tha tifli mein
thi nit aankhon ki mere husn-e-ruKH-e-yar se bahs
sulh-e-kul mein meri guzre hai mohabbat ke bich
na to takrar hai kafir se na din-dar se bahs
sau zaban go huin munh mein tere ai ghuncha-e-gul
tujh ko lazim nahin karna meri minqar se bahs
shewa har-chand ki apna nahin talib-ilmi
to bhi maujud hain hum karne ko do-chaar se bahs
yun hui haar gale ka mere wo nargis-e-mast
jun kare rah mein koi kisi hoshiyar se bahs
hon wo diwana ki ek shab bhi jo main ghar mein rahun
raat ko subh karun kar dar-o-diwar se bahs
aql-e-kul ne nahin ilzam diya us ko husud
dur ho, kar na abas 'mushafi'-e-zar se bahs
Ghazal
Raat karta tha wo ek murgh-e-giraftar se bahs
Mushafi Ghulam Hamdani