raat kaTi hai jag kar baba
din guzara hai dar par baba
hath aaya na raushni ka sarab
dur tha chand ka nagar baba
apne markaz se dur ho kar hum
ho gae aur dar-ba-dar baba
choT kha kar sambhal na pae hum
phul phenka tha tak kar baba
hum faqiron mein mil ke baiTh kabhi
taKHt-e-taus se utar baba
raston ke azab se Dar kar
yun na har har qadam pe mar baba
thi dhanak dur aasmanon mein
aur hum the shikasta-par baba
Ghazal
Raat kaTi hai jag kar baba
Hamid Sarosh