اردو हिंदी
Raat jab zaKHm ke aaine se Takraati hai | Shaahi Shayari
raat jab zaKHm ke aaine se Takraati hai

Ghazal

Raat jab zaKHm ke aaine se Takraati hai

Meer Naqi Ali Khan Saqib

;

raat jab zaKHm ke aaine se Takraati hai
lau charaghon ki shafaq ban ke bikhar jati hai

ghar ka aangan ho ki sahraon ka sannaTa ho
koi aawaz taaqub mein chali aati hai

kitna hassas hai ye aalam-e-tanhai bhi
phul khilte hain to zaKHmon se mahak aati hai

har nai subh teri yaad ka aansu ban kar
zindagi sham ki palkon se Tapak jati hai

aag lagti hai KHayalon ke ufuq-zaron mein
raushni mom ki manind pighal jati hai

dil ki galiyon se guzarta hai zamana koi
fikr-e-shair mein koi raat mahak jati hai

sochte chehron pe sadiyon ki thakan hai 'saqib'
jagti aankhon mein ab nind kahan aati hai