raat ek shahr ne taza kiye manzar apne
nind aaankhon se uDi khol ke shahpar apne
tum sar-e-dasht-o-chaman mujh ko kahan DhunDte ho
main to har rut mein badal deta hun paikar apne
yahi virana bacha tha to KHuda ne aaKHir
rakh diye dil mein mere sat samundar apne
roz wo shaKHs sada de ke palaT jata hai
main bhi rahta hun bahut jism se bahar apne
kis qadar pas-e-murawwat hai wafadaron ko
mere sine mein chhupa rakkhe hain KHanjar apne
koi sultan nahin mere siwa mera sharik
masnad-e-KHak pe baiTha hun barabar apne
Ghazal
Raat ek shahr ne taza kiye manzar apne
Irfan Siddiqi