اردو हिंदी
Raat guzre hai mujhe naza mein rote rote | Shaahi Shayari
raat guzre hai mujhe naza mein rote rote

Ghazal

Raat guzre hai mujhe naza mein rote rote

Mir Taqi Mir

;

raat guzre hai mujhe naza mein rote rote
aankhen phir jaengi ab subh ke hote hote

khol kar aankh uDa did jahan ka ghafil
KHwab ho jaega phir jagna sote sote

dagh ugte rahe dil mein meri naumidi se
haara main tuKHm-e-tamanna ko bhi bote bote

ji chala tha ki tere honTh mujhe yaad aae
lal paen hain main is ji hi ke khote khote

jam gaya KHun kaf-e-qatil pe tera 'mir' zi-bas
un ne ro ro diya kal hath ko dhote dhote