اردو हिंदी
Raat gahri hai to phir gham bhi farawan honge | Shaahi Shayari
raat gahri hai to phir gham bhi farawan honge

Ghazal

Raat gahri hai to phir gham bhi farawan honge

Sajida Zaidi

;

raat gahri hai to phir gham bhi farawan honge
kitne bujhte hue tare sar-e-mizhgan honge

qahr hai saat-e-mahshar hai ki kohram-e-fana
KHak is shahr-e-fana-kosh mein insan honge

shahr ho dasht ho mahfil ho ki virana ho
hum jahan jaen wahi KHar-e-mughilan honge

kaise is shahr-e-KHarabi mein basar ki hum ne
kal jo aaenge wo angusht-ba-dandan honge

sham se dil mein taraazu hai koi tir-e-sitam
raat guzregi na KHwabon ke shabistan honge

did ka bar-e-amanat na uThega us shab
KHun-chakan subh talak dida-e-hairan honge

fikr mahbus hui harf-e-dua gung hua
ahl-e-iman-o-nazar KHak-ba-daman honge