raat gae zindan mein jaane kis qaidi ka matam tha
us ki beDiyan chup chup si thin aur ujala kam kam tha
jaane kyun guftar pe us ki wahm-o-guman ke sae the
baat to us ki sidhi si thi lahja kuchh kuchh mubham tha
fasl-e-bahaaran aai bhi lekin chaak gareban ho na sake
jaane dilon par kya guzri thi kaun sa us ka mausam tha
dasht-e-junun mein dhup kaDi thi nauha-kunan the sannaTe
jaane teri yaad ka baadal saya fagan kyun paiham tha
soKHta-saman dasht-e-talab se lauT ke aae to dekha
sare gharon mein un ka ghar hi itna darham-barham tha
KHauf-o-raja ka sahn-e-chaman mein ek hi jaisa haal hua
zikr-e-shoala-o-shabnam bhi tha barq-e-fana ka matam tha
rah-e-wafa mein hirs-o-hawa ke itne dilkash manzar the
us mein 'rahi' bhaTak gaya wo aaKHir ibn-e-adam tha
Ghazal
Raat gae zindan mein jaane kis qaidi ka matam tha
Syed Nawab Haider Naqvi Rahi