raat din subh o sham likhta hun
aur bas tera nam likhta hun
mere mazi ke gum-shuda sathi
roz tujh ko salam likhta hun
ye ibarat sambhaal kar rakhna
zindagi tere nam likhta hun
teri KHatir hai KHas kar ye ghazal
yun to ashaar-e-am likhta hun
waqt ki ret par na jaane kyun
main 'KHayal' apna nam likhta hun

Ghazal
Raat din subh o sham likhta hun
Priyadarshi Thakur u0027Khayalu0027