اردو हिंदी
Raat din mahbus apne zahiri paikar mein hun | Shaahi Shayari
raat din mahbus apne zahiri paikar mein hun

Ghazal

Raat din mahbus apne zahiri paikar mein hun

Riaz Majeed

;

raat din mahbus apne zahiri paikar mein hun
shola-e-muztar hun main lekin abhi patthar mein hun

apni sochon se nikalna bhi mujhe dushwar hai
dekh main kis be-kasi ke gumbad-e-be-dar mein hun

dekhte hain sab magar koi mujhe paDhta nahin
guzre waqton ki ibarat hun ajaib-ghar mein hun

jurm karta hai koi aur sharm aati hai mujhe
ye saza kaisi hai main kisi arsa-e-mahshar mein hun

tujh ko itna kuchh banane mein mera bhi hath hai
meri jaanib dekh main bhi tere pas-manzar mein hun

mera dukh ye hai main apne sathiyon jaisa nahin
main bahadur hun magar haare hue lashkar mein hun

kaun mera pujne wala hai jo aage baDhe
main akela dewta jalte hue mandar mein hun