اردو हिंदी
Raat-din is tarah guzarte hain | Shaahi Shayari
raat-din is tarah guzarte hain

Ghazal

Raat-din is tarah guzarte hain

Ain Salam

;

raat-din is tarah guzarte hain
hum na jite hain aur na marte hain

log hairan hon is zamane mein
kaise hans hans ke zist karte hain

koi ja kar KHizan se kah aae
phul gulshan mein phir nikharte hain

aap ko dekh kar ye sochta hun
aasman se bhi log utarte hain

gham ke hathon bigaD gae hum to
wo bhi honge ki jo sanwarte hain

rashk se nam tak nahin lete
dam magar aap hi ka bharte hain