raat din gardish mein hain lekin paDa rahta hun main
kaam kya mera yahan hai sochta rahta hun main
bahar andar ke jahanon se mila mujh ko faragh
tisri duniya ke chakkar kaTta rahta hun main
ek be-KHaufi mujhe le aai sahil ke qarib
aa ke ab nazdik sahil ke Dara rahta hun main
jaane kaisi raushni thi kar gai andha mujhe
is bhayanak tirgi mein bhi bujha rahta hun main
kar diya kis ne mera aaina-e-dil gard gard
aks hun kis ka hawa se puchhta rahta hun main
ek jangal sa uga hai mere tan ke chaaron or
aur apne man ke andar zard sa rahta hun main
ek nuqte se ubharti hai ye sari kaenat
ek nuqte par simaTta phailta rahta hun main
raushni mein lafz ke tahlil ho jaane se qabl
ek KHala paDta hai jis mein ghumta rahta hun main
sans ki lai par thirakti hai koi azli tarang
rang-e-'sani' dekh kar hairat-zada rahta hun main
Ghazal
Raat din gardish mein hain lekin paDa rahta hun main
Mahender Kumar Sani