raat Dhalte hi safiran-e-qamar aate hain
dil ke aaine mein sau aks utar aate hain
sail-e-mahtab se jab naqsh ubhar aate hain
os girti hai to paigham-e-sharar aate hain
saat-e-did ka gulzar ho ya saya-e-dar
aise kitne hi maqamat-e-safar aate hain
jagti aankhon ne jin lamhon ko bikhra dekha
wahi lamhe mere KHwabon mein nikhar aate hain
waqt ki lash pe rone ko jigar hai kis ka
kis janaze ko liye ahl-e-nazar aate hain
raat ki baat hi kya raat gai baat gai
raat ke KHwab kahin din ko nazar aate hain
wadi-e-gharb se paiham hai andheron ka nuzul
matla-e-sharq se paigham-e-sahar aate hain
Ghazal
Raat Dhalte hi safiran-e-qamar aate hain
Hanif Fauq