اردو हिंदी
Raat bhi tera dhyan bhi hum bhi | Shaahi Shayari
raat bhi tera dhyan bhi hum bhi

Ghazal

Raat bhi tera dhyan bhi hum bhi

Mohammad Ali Mauj

;

raat bhi tera dhyan bhi hum bhi
chand bhi aasman bhi hum bhi

apni apni ana ki qaid mein hain
KHali KHali makan bhi hum bhi

kho gae gum-rahi ke sahra mein
manzilon ke nishan bhi hum bhi

saya saya tamazaton ke hujum
dhup bhi saeban bhi hum bhi

ek sach ek wahima ek jhuT
wo bhi us ka guman bhi hum bhi

apni apni saqafaton ke amin
ghaalib-e-KHush-bayan bhi hum bhi

maslahat ke hisar mein ai 'mauj'
qaid urdu zaban bhi hum bhi