raat bhar suraj ke ban kar ham-safar wapas hue
sham bichhDe hum to hangam-e-sahar wapas hue
jalwa-gah-e-zat se kab KHud-nigar wapas hue
aur agar wapas hue to be-basar wapas hue
thi hamein malhuz-e-KHatir nek-nami is qadar
chum kar nazron se un ke baam-o-dar wapas hue
muzhda parwaz-e-adam ka hai ki rahat ki nawed
dam labon par hai to apne baal-o-par wapas hue
shauq-e-manzil tha kahan mujh sa kisi ka mo'tabar
do qadam bhi chal na pae ham-safar wapas hue
karwan se jo bhi bichhDa gard-e-sahra ho gaya
TuT kar patte kab apni shaKH par wapas hue
subh dam le kar chali ghar se talash-e-rozgar
sham hum ruKH par liye gard-e-safar wapas hue
zindagi mein aain subhen aur shamen bhi bahut
ahd-e-rafta ke kahan sham-o-sahar wapas hue
aaKHirash bujh hi gaya hai KHush-gumani ka charagh
tum bichhaD kar phir kahan imkan bhar wapas hue
KHush-gumani ka bharam rakkha nai pahchan ne
phir mere naghmon mein Dhal kar sim-bar wapas hue
hosh se aari rahi diwangi apni 'zafar'
ba-KHabar mahfil mein rah kar be-KHabar wapas hue
Ghazal
Raat bhar suraj ke ban kar ham-safar wapas hue
Zafar Moradabadi