اردو हिंदी
Raat bhar koi na darwaza khula | Shaahi Shayari
raat bhar koi na darwaza khula

Ghazal

Raat bhar koi na darwaza khula

Iqbal Naved

;

raat bhar koi na darwaza khula
dastaken deti rahi pagal hawa

waqt bhi pahchan se munkir raha
dhund mein lipTa raha ye aaina

koi bhi KHwahish na puri ho saki
raste mein luT gaya ye qafila

wo parinda hun jise hote hi sham
bhul jae apne ghar ka rasta

ham-safar sab ajnabi hote gae
jaise jaise rasta kaTta gaya

hum kinare aa lage thak kar 'nawed'
aur dariya umr bhar chalta raha