اردو हिंदी
Raat-bhar KHwab mein jalna bhi ek bimari hai | Shaahi Shayari
raat-bhar KHwab mein jalna bhi ek bimari hai

Ghazal

Raat-bhar KHwab mein jalna bhi ek bimari hai

Amit Sharma Meet

;

raat-bhar KHwab mein jalna bhi ek bimari hai
ishq ki aag se bachne mein samajhdari hai

waqt milta hi nahin hai mujhe tanhai se
jang KHud se hi meri aaj talak jari hai

aaine ghar ke sabhi TuT chuke hain kab ke
ru-ba-ru KHud se hi hona bhi mujhe bhaari hai

meri ye baat tu mane ya na mane lekin
bin tere duniya mein jina bhi adakari hai

dard tanhai taDap ashk mohabbat yari
'mit' in sab mein hi us gham ki taraf-dari hai