raat bhar furqat ke sae dil ko dahlate rahe
zehn mein kya kya KHayal aate rahe jate rahe
sainkaDon dilkash bahaaren thin hamari muntazir
hum teri KHwahish mein lekin Thokaren khate rahe
umr bhar dekha na apne chaak-e-daman ki taraf
bas teri uljhi hui zulfon ko suljhate rahe
jin ki KHatir pi gae ruswaiyon ka zahr bhi
wo bhari mahfil mein hum par tanz farmate rahe
teri KHatir ishq mein barbaad hona tha hue
hum na mane log hum ko lakh samjhate rahe
Ghazal
Raat bhar furqat ke sae dil ko dahlate rahe
Zaheer Ahmad Zaheer