raat-bhar chand ki galiyon mein phiraati hai mujhe
zindagi kitne hasin KHwab dikhati hai mujhe
in dinon ishq ki fursat hi nahin hai warna
us dariche ki udasi to bulati hai mujhe
toD deta hun ki ye bhi kahin dhoka hi na ho
jam mein jab teri surat nazar aati hai mujhe
din isi farq ke jangal mein guzar jata hai
raat yaadon ka wahi zahr pilati hai mujhe
sath jis rose se chhuTa hai kisi ka 'azar'
jaise kamre ki har ek chiz Daraati hai mujhe
Ghazal
Raat-bhar chand ki galiyon mein phiraati hai mujhe
Kafeel Aazar Amrohvi