raat bezar sa ghar se jo main tanha nikla
chand bhi jaise mere gham ka shanasa nikla
sar-ba-sar Dub gaya raat ke sannaTe mein
chandni jis ko main samjha tha wo dariya nikla
dur se aai gali mein kahin qadmon ki sada
apna ghar chhoD ke mujh sa koi tanha nikla
soi thi chandni patton se Dhaki saDkon par
ek jhonka sar-e-shab KHak uData nikla
samne ghar ke tere koi khaDa tha jaise
wahm apna teri diwar ka saya nikla
chandni rah-e-mulaqat mein diwar bani
chand bhi jaise tera chahne wala nikla
raat ke moD pe kaun aaina-bardar mila
jis ko samjha tha teri yaad zamana nikla
raat bhar mauj-e-hawa se teri KHushbu aai
chand-taron mein tera naqsh-e-kaf-e-pa nikla
is bhare shahr mein hum chaak-e-gareban Thahre
jis ko dekha wahi sargarm-e-tamasha nikla
hum to is dil hi ko samjhe the bayaban 'KHawar'
chand bhi dur tak ek rang ka sahra nikla
Ghazal
Raat bezar sa ghar se jo main tanha nikla
Rafiq Khawar Jaskani