raat be-KHwabiyon ka safar tere bin
din hai bechainiyon ka nagar tere bin
qurbaten faslon mein badalti rahin
bad-gumani har ek moD par tere bin
chandni mein sahar, husn, ThanDak na nur
aib tha us ka har ek hunar tere bin
KHwab KHana-ba-doshon se phirte rahe
nind bhi ho gai dar-ba-dar tere bin
mere baalon mein chandi pirote rahe
tez-raftar sham-o-sahar tere bin
phir tere lauTne ki KHabar aai thi
hum nahin the kabhi be-KHabar tere bin
aankhen jalti hain meri diyon ki jagah
sham se ghar ki dahliz par tere bin
ab na sawan, na jhule, na sakhiyan, na git
jaise KHamosh sara nagar tere bin
chandni DhunDhti thi tere naqsh-e-pa
raat, taron ki dahliz par tere bin
Ghazal
Raat be-KHwabiyon ka safar tere bin
Khwaja Sajid