raat baghiche pe thi aur raushni patthar mein thi
ek sahife ki tilawat zehn-e-paighambar mein thi
aadmi ki band muTThi mein sitara tha koi
ek jadui kahani subh ke mantar mein thi
ek raKHsh-e-sang tha aatish-kade ke samne
ek nili mom-batti dast-e-ahan-gar mein thi
bich mein soi hui thi aatish-e-aindagan
ek pairahan ki ThanDak dhup ki chadar mein thi
panw sakit ho gae 'sarwat' kisi ko dekh kar
ek kashish mahtab jaisi chehra-e-dilbar mein thi

Ghazal
Raat baghiche pe thi aur raushni patthar mein thi
Sarvat Husain