raat apne KHwab ki qimat ka andaza hua
ye sitara nind ki tahzib se paida hua
zehn ki zarKHez miTTi se nae chehre uge
jo meri yaadon mein zinda hai sarasima hua
meri aankhon mein anokhe jurm ki tajwiz thi
sirf dekha tha use us ka badan maila hua
wo koi KHush-bu hai meri sans mein bahti hui
main koi aansu hun us ki ruh mein girta hua
us ke milne aur bichhaD jaane ka manzar ek hai
kaun itne faslon mein be-hijab aisa hua
Ghazal
Raat apne KHwab ki qimat ka andaza hua
Saqi Faruqi