raat andar utar ke dekha hai
kitna hairan-kun tamasha hai
ek lamhe ko sochne wala
ek arse ke baad bola hai
mere bare mein jo suna tu ne
meri baaton ka ek hissa hai
shahr walon ko kya KHabar ki koi
kaun se mausamon mein zinda hai
ja basi dur bhai ki aulad
ab wahi dusra qabila hai
banT lenge nae gharon wale
is haweli ka jo asasa hai
kyun na duniya mein apni ho wo magan
us ne kab aasman dekha hai
aaKHiri tajziya yahi hai 'malal'
aadmi daeron mein rahta hai
Ghazal
Raat andar utar ke dekha hai
Sagheer Malal