اردو हिंदी
Raat aisi ki kabhi jis ka sawera na hua | Shaahi Shayari
raat aisi ki kabhi jis ka sawera na hua

Ghazal

Raat aisi ki kabhi jis ka sawera na hua

Shahid Mahuli

;

raat aisi ki kabhi jis ka sawera na hua
dard aisa ki koi jis ka masiha na hua

raaz ek dil mein liye phirte hain sahra sahra
koi hamraaz to ho shahr mein aisa na hua

mere ehsas ki qismat mein hi mahrumi thi
kabhi socha na hua aur kabhi chaha na hua

dil ke aaine mein har aks hai dhundla dhundla
lakh surat hai magar koi bhi tum sa na hua

bazm-e-aghyar mein 'shahid' ke uDe the purze
koi charcha na hua koi tamasha na hua