raat aankhon mein kaTne walo shad raho aabaad raho
bar-e-hijr uThane walo shad raho aabaad raho
kachchi umr mein kal ke dukhon se aaj ulajhna Thik nahin
pahla sawan bhigne walo shad raho aabaad raho
ab aae ho sare diye jab ek ek kar ke bujh bhi gae
lekin lauT ke aane walo shad raho aabaad raho
KHana-badoshi ek hunar hai rafta rafta aaega
ranj-e-masafat khinchne walo shad raho aabaad raho
ek dariche se do aankhen roz sadaen deti hain
raat gae ghar lauTne walo shad raho aabaad raho
hijr-zadon par KHud nahin khulta kis aalam mein rahte hain
haal hamara puchhne walo shad raho aabaad raho
Ghazal
Raat aankhon mein kaTne walo shad raho aabaad raho
Khalid Moin