raat aaKHir ho sitam-peshon pe aisa bhi nahin
waqt ruk jae kahin aa ke ye hota bhi nahin
apne hone ki saza kis ko mila karti hai
kis ko ye zaKHm dikhaun jo huwaida bhi nahin
muntazir aaina-KHane hain na jaane kis ke
shahr-e-timsal mein ab to koi chehra bhi nahin
tujh se mansub the sab jaur sahe hum ne magar
pas-e-namus-e-mohabbat tha pukara bhi nahin
koi hasil nahin is kar-e-junun ka 'rashid'
khelta aag se hun aur tamasha bhi nahin
Ghazal
Raat aaKHir ho sitam-peshon pe aisa bhi nahin
Rashid Taraz