raston mein ek nagar aabaad hai
is tasawwur hi se ghar aabaad hai
kaisi kaisi suraten gum ho gain
dil kisi surat magar aabaad hai
kaisi kaisi mahfilen suni huin
phir bhi duniya kis qadar aabaad hai
zindagi pagal hawa ke sath sath
misl-e-KHak-e-rahguzar aabaad hai
dasht-o-sahra ho chuke qadmon ki gard
shahr ab tak dosh par aabaad hai
be-KHudi ruswa to kya karti mujhe
mujh mein koi be-KHabar aabaad hai
dhup bhi sanwla gai hai jis jagah
us KHarabe mein sahar aabaad hai
Ghazal
Raston mein ek nagar aabaad hai
Sahar Ansari