raste se gae haTae hum
phir bhi manzil ke pas aae hum
the haqiqat nazar na aae hum
jab hue KHwab jagmagae hum
go chale the, pahunch na pae hum
hum wahin hain jahan se aae hum
apna baadal talashne ke liye
umar bhar dhup mein nahae hum
manzilen un ki har safar un ka
raste the bane-banae hum
shor din ka pila gaya chuppi
nind aai to baDbaDae hum
teri galiyon ko ghar kiya jab se
zindagi ke qarib aae hum
sath le kar makan kya chalte
ghar ko phir ghar hi chhoD aae hum
tujh pe ghussa the islie jaanan
be-sabab KHud pe tamtamae hum
jab se hum ban gae teri aankhen
dekh le roz DabDbae hum
dard ki aanch gham ki bhaTTi thi
phir sarapa gae pakae hum
Ghazal
Raste se gae haTae hum
Navneet Sharma