raste phaile hue jitne bhi the patthar ke the
rahzan shashdar rahe KHud qafile patthar ke the
narm-o-nazuk KHwahishen kya ho gain hum kya kahin
aarzuon ki nadi mein bulbule patthar ke the
ashk se mahrum thin aankhen faza-e-shahr ki
jaan-o-dil patthar ke the jo gham mile patthar ke the
har qadam par Thokaron mein zindagi baTti rahi
aadmi ki rah mein sab marhale patthar ke the
dil dhaDak kar chup raha kal maslahat ki rah par
sar-burida saikDon upar tale patthar ke the
regzar-e-zist mein soz-e-safar jata raha
yun hua mahsus jaise aable patthar ke the
lamha lamha sang ban kar ji rahi thi main 'sadaf'
chahaton ke darmiyan jab hausle patthar ke the
Ghazal
Raste phaile hue jitne bhi the patthar ke the
Sadaf Jafri