اردو हिंदी
Rasta samundar ka jab ruka hua paya | Shaahi Shayari
rasta samundar ka jab ruka hua paya

Ghazal

Rasta samundar ka jab ruka hua paya

Manzoor Hashmi

;

rasta samundar ka jab ruka hua paya
aur bhi kinaron ko kaTta hua paya

der tak hinsa tha main doston ki mahfil mein
lauT kar na jaane kyun dil dukha hua paya

dhup ne TaTola jab munjamid chaTanon ko
barf ke tale lawa khaulta hua paya

sochiye kahenge kya log aise mausam ko
jis mein sabz shaKHon ko sukhta hua paya

mere waste shayad KHat mein tha wahi jumla
tez raushnai se jo kaTa hua paya

nind ki pari aaKHir ho gai KHafa hum se
aur koi aankhon mein jab chhupa hua paya