rasta der tak sochta rah gaya 
jaane wale ka kyun naqsh-e-pa rah gaya 
aaj phir dab gain dard ki siskiyan 
aaj phir gunjta qahqaha rah gaya 
ab hawa se shajar kar raha hai gila 
ek gul shaKH par kyun bacha rah gaya 
jhuT kahne laga sach se bachne laga 
hausle miT gae tajraba rah gaya 
hanste gate hue lafz sab miT gae 
aansuon se likha hashiya rah gaya 
waqt ki dhaar mein bah gaya sab magar 
nam diwar par ek likha rah gaya 
us ke dam se kahe sher main ne 'hilal' 
phul is dhup mein jo khila rah gaya
        Ghazal
Rasta der tak sochta rah gaya
Hilal Fareed

