rasta chahiye dariya ki farawani ko
hai agar zoam to le rok le tughyani ko
aaina TuT gaya shakl ke zarre bikhre
kya chhupata hai ab is dasht ki virani ko
aab-yari jo hui hai to shajar bhi honge
tu ne samjha tha ghalat KHun ki arzani ko
le ye tufan teri dahliz tak aa pahuncha hai
barf samjha tha usi Thahre hue pani ko
suraKH-ru hun ki main is aag se kundan nikla
shoala-e-KHun ne ujala meri peshani ko
main utar aaya hun us par jahan maut nahin
mil gaya jism-numa ruh ki uryani ko
waqia aam hua dhup ki kirnon ki tarah
dekh le hath laga kar meri tabani ko
phir nai fasl ka mausam hai dua kar 'shahid'
abr sairab kare KHitta-e-barani ko

Ghazal
Rasta chahiye dariya ki farawani ko
Saleem Shahid