اردو हिंदी
Rast agar sarw si qamat kare | Shaahi Shayari
rast agar sarw si qamat kare

Ghazal

Rast agar sarw si qamat kare

Sadruddin Mohammad Faez

;

rast agar sarw si qamat kare
yar ki aankhon mein qayamat kare

pani howe aarsi us mukh ko dekh
zohra use kya ki iqamat kare

tur meri aql-o-KHirad se hai dur
mujh ko sabi KHalq malamat kare

chhab hue jis shaKHs ko tujh mah si
sarw-qadan bich imamat kare

dahr mein 'faez' sa nahin ek tan
ishq ke qanun mein qayamat kare