اردو हिंदी
Ras aaya hai mujhe wahshat mein mar jaana mera | Shaahi Shayari
ras aaya hai mujhe wahshat mein mar jaana mera

Ghazal

Ras aaya hai mujhe wahshat mein mar jaana mera

Rasa Rampuri

;

ras aaya hai mujhe wahshat mein mar jaana mera
wo mujhe roe ye kah kar hae diwana mera

ghair ko saqi ne jab bhar kar diya jam-e-sharab
aansuon se ho gaya labrez paimana mera

mere rone par wo un ka muskurana bar bar
aur balaen le ke wo qadmon pe gir jaana mera

hazrat-e-naseh ki baaten main samajhta hi nahin
na samajh hain dil-lagi samjhe hain samjhana mera

ai 'rasa' wo bhi sharik-e-mahfil-e-matam hue
KHizar bhi marte hain jis par wo hai mar jaana mera