ras aati hai bahut aab-o-hawa sahra ki 
jaane de di hai tujhe kis ne dua sahra ki 
tujh ko milne se raha shahr mein wahshat ka ilaj 
tujh ko shayad ki shifa baKHshe hawa sahra ki 
hum to lete hain maza ghar mein hi virani ka 
naz-bardari kare kaun bhala sahra ki 
ek samundar hai meri zat ke paimane mein 
Dal rakkhi hai magar us pe rida sahra ki 
tera ham-zad tujhe shahr mein milne se raha 
bandh le raKHt-e-safar KHak uDa sahra ki
        Ghazal
Ras aati hai bahut aab-o-hawa sahra ki
Mirza Athar Zia

