اردو हिंदी
Rakh uDti hui baalon mein nazar aati hai | Shaahi Shayari
rakh uDti hui baalon mein nazar aati hai

Ghazal

Rakh uDti hui baalon mein nazar aati hai

Farah iqbal

;

rakh uDti hui baalon mein nazar aati hai
umr guzre hue salon mein nazar aati hai

jab bhi khola hai ye mazi ka daricha main ne
koi taswir KHayalon mein nazar aati hai

sham ke sath jo jadu ho nigahon ka teri
sham waisi mere galon mein nazar aati hai

basti dil mein jahan rose tha hangama naya
wo bhi ujDe hue haalon mein nazar aati hai

kabhi tanhai jo raaton ko satati thi hamein
ab wahi din ke ujalon mein nazar aati hai