rakh kuchh dil mein ziyaada hai sharara kam hai
hum ne is aaine mein aks utara kam hai
raushni aaj ajab tirgi-e-KHak mein hai
aasman dekh tera ek sitara kam hai
DhunDhta phirta hun KHar-o-KHas-o-KHashak mein husn
meri binai ko saughat-e-nazara kam hai
marg-e-yaran-e-suKHan-sanj pe KHun rota hun
kya karun sabr ki ab sabr ka yara kam hai
tum ko andaza-e-sailab nahin hai 'mohsin'
baadalon ne jo kiya kya wo ishaara kam hai
Ghazal
Rakh kuchh dil mein ziyaada hai sharara kam hai
Mohsin Ehsan

