rahzan aadmi rahnuma aadmi
bar-ha ban chuka hai KHuda aadmi
hae taKHliq ki kar-pardaziyan
KHak si chiz ko kah diya aadmi
khul gae jannaton ke wahan zaiche
do qadam jhum kar jab chala aadmi
zindagi KHanqah-e-shahud-o-baqa
aur lauh-e-mazar-e-fana aadmi
subh-dam chand ki ruKHsati ka saman
jis tarah bahr mein Dubta aadmi
kuchh farishton ki taqdis ke waste
sah gaya aadmi ki jafa aadmi
gunjti hi rahegi falak-dar-falak
hai mashiyyat ki aisi sada aadmi
aas ki muraten pujte pujte
ek taswir si ban gaya aadmi

Ghazal
Rahzan aadmi rahnuma aadmi
Saghar Siddiqui