rahen dhuan dhuan hain safar gard gard hai
ye manzil-e-murad to bas dard dard hai
apne paDosiyon ko bhi pahchanta nahin
mahsur apne KHol mein ab fard fard hai
is mausam-e-bahaar mein ai baghban bata
chehra har ek phul ka kyun zard zard hai
laffaziyon ka garm hai bazar kis qadar
dast-e-amal hamara magar sard sard hai
kaisa tazad shaKH-e-tamanna mein hai 'asad'
KHud ye hari hari hai samar zard zard hai
Ghazal
Rahen dhuan dhuan hain safar gard gard hai
Asad Raza