اردو हिंदी
Rahaton ke dhoke mein iztirab DhunDe hain | Shaahi Shayari
rahaton ke dhoke mein iztirab DhunDe hain

Ghazal

Rahaton ke dhoke mein iztirab DhunDe hain

Zameer Atraulvi

;

rahaton ke dhoke mein iztirab DhunDe hain
hum ne apni KHatir hi KHud azab DhunDe hain

ye to us ki aadat hai rose gul masalta hai
aaj bhi masalne ko kuchh gulab DhunDe hain

raat aandhi aane par uD gae the KHeme sab
ghafilon ne mushkil se kuchh tanab DhunDe hain

teri hukmarani bhi KHatm hone wali hai
hum ne kuchh kitabon mein inqalab DhunDe hain

mere kuchh sawalon ke tum ne ek muddat mein
masalon se haT kar hi kyun jawab DhunDe hain

kale karname aur kala munh chhupane ko
kuchh safed-poshon ne kuchh naqab DhunDe hain

dekhiye 'zamir' hum bhi hain ajab hi diwane
chhoD kar haqiqat ko hum jawab DhunDe hain