اردو हिंदी
Rahat na mil saki mujhe mai-KHana chhoD kar | Shaahi Shayari
rahat na mil saki mujhe mai-KHana chhoD kar

Ghazal

Rahat na mil saki mujhe mai-KHana chhoD kar

Jaleel Manikpuri

;

rahat na mil saki mujhe mai-KHana chhoD kar
gardish mein hun main gardish-e-paimana chhoD kar

KHum mein subu mein jam mein niyyat lagi rahi
mai-KHane hi mein hum rahe mai-KHana chhoD kar

aankhon ko chhoD jaun ilahi main kya karun
haTti nahin nazar ruKH-e-jaanana chhoD kar

aata hai ji mein saqi-e-mah-wash pe bar bar
lab chum lun tera lab-e-paimana chhoD kar

hoti kahan hai dil se juda dil ki aarzu
jata kahan hai shama ko parwana chhoD kar

do ghunT ne baDha diye rindon ke hausle
mina o KHum pe jhuk paDe paimana chhoD kar

phir bu-e-zulf-e-yar ne aa kar sitam kiya
phir chal diya mujhe dil-e-diwana chhoD kar

yaad aai kis ki aankh ki rind uTh khaDe hue
paimana toD kar mai o mai-KHana chhoD kar

duniya mein aafiyat ki jagah hai yahi 'jalil'
jaana kahin na gosha-e-mai-KHana chhoD kar